Friday, September 25, 2009

Chunav

Khushi ko maine chuna hai
Jaise gham ko aapne…
Udhedh ke doobara buna hai
Apne jeevan ka taana baana
Jab chunne ka sach jaana
Haan hum chunav khud kartien hain
Pal pal ghut te hain
Martien hain
Ya phir nazaraiya badaltein hai
Dosh dena kitna aasan hai
Galti hamesha kisi aur ki hai
Kasoorvar kareebi koi
Ya phir bhagwaan hai
Bechargi mein rehna bhi ek nasha hai
Uski khumaari bahuton ki dawaa hai
Par maine chuna hai jaagne ko
Zindagi ko
Azaadi ko
Alvida keh diya bhaagne ko….

Zidd apne liye kuch karne ki hai

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Bachhon si baatien mat karo
Angrezon ki sarkaar giraoge?
Par yeh bachpana nahi tha
Desh ke har kone mein
Jawaani ke kagar pe khade lakhon ko
pata tha yeh bilkul sahi tha
kisi ko to pehl karni thi
darr se nijaat paane ki
ghulami ki aadat hataane ki
jab jawaan khoon mein aayi rawaani
bagaawat huyi har jagah
jail bhari quaid ke naam se darrnewalon ne
saath paaya biwion ka bhi angrez se ladnewalon ne
jo lagta tha bilkul namumkin
kar dikhaya inn sarfire deewanon ne ek din

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai



Azaadi ke sahi mane
Unhone the jaane
Bachchpan peeche, budhapa door
dil mein josh, chhalke chehre pe noor
vijaypath pe tiranga lehraya
fauji bane aur khud ko paya
poocha hairat bhari nazron ne, yeh baat kaise huyi?
kaise mehnat ki unhone ne
jinse sabne na rakhi thi ummed koi
har ek se paayi inhone dua
ek samundar sa har gali se guzra
jan gann man gaata huya

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Desh ke liye bani panch saalon ki yojana
Har kisi ko laga vo bhagedaar
Apne bank, apne dam, apne karkhanon mein apna kaam
Bharat ka jald hi roshan karna tha naam
Tez kadam
Ekjut awaaz
Sainkdon ka Dum
Unchi parwaaz
Dharti bani ab bharat ma
Kahin Iski raksha ke liye nikla hujoom sa
To kahin logon ne li kasam kha
Is mein anaj badhane ka
Sab ko mili ek nayi disha
Jeene ki ek thoss vajah


Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Waqt kam tha, kitne saare karne the kaam
Maano sabko mil gaya tha pehle hi inaam
Junoon tha jiska naam…
Dharti pe daudi nayi rail,
Hawa mein apni airline ka dikha khel
Chaka chaund mein nazrien gayi chaundhai
Aur kuch ki nazar phir kahin ladkhadi
Araam ne kiya haraam
Kala paisa, gorakh dhanda
naye desh pe ab laga kass raha tha phanda
padhte likhte kuch aur bhi seekh gaye the yahan log
aur ek baar phir mitaana zaroori tha yeh rog

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Tv ke saath saath maano zindagi hi ho gayi rangeen
18 saal mein mila vote karne ka mauka
Aasan ho gayi lag bhag har cheez
Plastic card ke bal bute pe le sakte the
Car, foreign mein chhuti ya phir nayi kameez!
Haan chai paani ka bhi naya matlab nikalta raha
Bahuton ka bank balance badhta raha
Ek naraazgi kahin thi dabi dabi
Jisko badlna tha kabhi na kabhi
Jawaan khoon phir sawaal karne laga
Daben pav phir vo siyasat mein ubharne jaga

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai


Aaj phir hai ek naya daur
Bachpan ke saath masoomiyat bhi kahin kho jaati hai
Har sadi ki tarha
Duniya badalne ki jaldi ho jaati hai
Ab ka yuvak abke sapne bunta hai
Daftar ko kandhe pe latkaye ghumta hai
Dharti ko bachaane ke liye geet gaata hai, jhoomta hai
Apne gusse ko apne dhang se dikhaata hai
Twitter pe tweet karke baat samjhaata hai
Candle light march karke sarkaar hilaata hai
Kabhi lagta hai ussi mein khush ho jaata hai
Lekin kal ka khayal hain unhe
Jinhone khaayi hai phir ek kasam
Apni baat manvaane ki
Jaagte rehne ki
Jagaane ki
Terrorisim se ladne ki
Politics mein utarne ki
Azaadi humein leni hai phir aaj
yahin kuch badalna hai
Banana hai ek super cool samaj

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai