Vo bahut achcha dost tha mera
Mujhe hansata tha, kabhi kabhi mujh pe hansta tha
Mere darr samajhta tha, apne darr batata tha
Phir ne jaane kaise vo dost se aashiq ban gaya
Donon bahut kush the
Par kuch badal gaya
Sab kuch badal gaya
Ab haq jaataye jaate the
Na kehna mushkil tha to dono ne jhoot bolna shuru kiya
Par rishta itna gehra tha ke jhoot pakade jaate the
Aur yeh kabool karna ke jhoot kaha hai namumkin tha
To rishton ki, logon ki, misaalien di jaane lagi
Kasurvaar dono the
Ya shayaad rishte ko naam dena kasur tha
Usne ek baar galti ki to tohmat lagi ke hamesha karte ho
Maine kabhi baat chupaiye to ishq se bharosa ladkhadaya
Har baat mein chupi huye baat dhoondi jaati thi
Har baar kuch kehne se pehle sochna padhta tha
Pehle meri jin baton ko bachpana kaha jaata tha
Ab vo laparvahi ban gayi
Jab ek zamane mein vo mere saath mere khaandan pe hansta tha
Aaj uska vohi karna iss baat ka saboot tha ke vo badtameez hai
aur sabse zyaada yeh baat khalti hain ke jab milna zaroori nahi tha
to na jaane kaise roz milne ka waqt mil jaata tha
ab na milne ke karan dhoondhe jaate hain
aur hairat ki baat hai ke mil bhi jaatien hai
lekin usko acting nahi aati
agar vo mera sirf dost hotato hum dono iss baat pe bahut hanste....
No comments:
Post a Comment