Kaun hai yeh log jo kal tak mere dost the
Jo iss haadse se pehle lagta tha mere jaise hi hai
Jinki baatien, kaam, khayal, libaas bhi ek se the
Par ab jab sarr par junoon sawaar huya
To ek daravaana ghinona chehra nikalkar aa raha hai
Jo shehar aur desh chhodkar bhaagne ki baat kar rahe hain
Jo ek mazhab ke sabhi logon ko dushman karar kar rahe hai
Jo sirf hamle aur badle ki firaq mein hai
Jo apne ghar apne gharwalon se aage kuch dekhna chahate hi nahi
Jo logon ke naam sunkar unki kabaliyat par shaque karte hain
Main jab hairat bhari nazron se unhe dekhti hoon
To mujhe apni kamtari ka ehsaas hota hai
Phir ek baar jald baazi mein dhoka khaya….
No comments:
Post a Comment