Monday, August 24, 2009

Phir aur waqt chaahti hoon...

Hawaa mein teer chalati hoon,
Din raat darr paalti hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...
Khayalon mein hi haar jaati hoon,
Khwaabon mein neend talaashti hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...
Naye naye dost banaati hoon,
Bina baat kiye hi laut aati hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...
Mann mein hi kisi ki ho jaati hoon,
Khud ko thoda aap sa hi paati hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...

Sunday, August 16, 2009

Sach mano ab baat mere bas mein nahi

Dekha to kabhi nahi
Lekin yakeen mein kami nahi
kisi ne rabb ko dekha kahin?
Dimaag hansta hai jab dil kehta hai sahi
Khayaal hai jo baar baar kehta hai “main hoon vahi”
Chho loongi to gayab na ho jaaye kahin
Khwaab hai, par sone nahi deta vahi
Log kehte hai yeh kaam se gayi
Sach mano ab baat mere bas mein nahi…

Saturday, August 8, 2009

मिलना aakar

Waqt churakar
Neend hatakar
Soch sulakar
Milna aakar….
Kaam bhulakar
Darr gumakar
Dil jagaakar
Milna aakar….
Hosh gavakar
Haalat bhulakr
Mann ka kaha maankar
Milna aakar….
Betaabi bhagaakar
Mayoosi mitakar
Yakeen badhakar
Milna aakar….

Monday, August 3, 2009

Kaanch ka khwaab tha, toot gaya

Kaanch ka khwaab tha, toot gaya
Mere saamne haath se chhot gaya
Tukde chhubte hain ankhon mein
Baatien cheekhti hai kaanon mein
Bebaas hairat se takati rehti hoon
Kabhi khud se kabhi khuda se ladti rehti hoon

Saturday, August 1, 2009

आज का sach

Uski khushi mein hai meri jaan
Uski muskurahat par hai shay kurbaan
Aisa huya hai pehli baar
Uski jeet mein nahi dikhti apni haar
Uske hone se milta hai sukoon
Vo hai meri dua, mera junoon
Uski khushi mein hai meri jaan
Uski muskurahat par hai shay kurbaan
Jo vo chaahe usse mil jaayen
Har kadam pe naye josh paayen
Mumkin hai iss bheed mein kahi kho jaaye
Aur yakeen hai kal behtar hoga jab bhi aaye
Uski khushi mein hai meri jaan
Uski muskurahat par hai shay kurbaan