Wednesday, November 11, 2009

ehsaas

Ek ehsaas sa tha kahin
aur behte chale gaye
Pata nahi tha bhi ya nahi
Bas behte chale gaye
Ankhon ki boli dekhi nahi
aur dil ke ek saaz pe lut te chale gaye
Apna na paraya, kal ka na khayaal aaya
bas aaj ke ehtraam mein sajdien kartien gaye
Khwaab se jagne ka khauff jab aaya kabhi
khwaab rahe salaamat bas dua kartien gaye…

Friday, October 23, 2009

एक Khel

Meri arzi
Aapki marzi
Darr lag raha hai iss khel mein
Meri raatien
Aapki baatien
Mazaa aa raha hai iss khel mein
Mere sapne
Aapke apne
Ajeeb lag raha hai iss khel mein
Mere iraadien
Aapke vaadien
Dil behak raha hai iss khel mein….

Tuesday, October 13, 2009

Azaadi

Koi nahi rokne waala
Aur iss azaadi se darr lagta hai
Koi nahi poochne wala
Aur Jawab dene ka mann karta hai
Koi nahi thi baat bigdi zyaada uss waqt
Aur ab akelapan hi itna khalta hai
Koi nahi jo haque se dannte
Aur khamoshi se ghar akhardta hai
Koi nahi jo kal ke sapne bunne
Aur mera maazi hai jo aaj bhi mujhse ladta है...

Sunday, October 4, 2009

कभी किसी दिन

Kabhi kisi din waqt mila to
vaada hai aapki bewaafai pe bhi do aanso baha loongi...
Aaj frusat kahan
Bula raha hain
baahen kholien
mujhko jaanvida yeh jahaan
aapki chhot soch mein bandhkar
nahi reh sakti main
oonchi hai meri parwaaz
duur hai mujhko jaana
kahin se aa rahi hai
ek nayi duniya ki aawaz
maafi chaahti hoon
nahi de sakti ab aapka saath
shukr manaati hoon
sahi waqt pe
chhod diya aapne haath...

Friday, September 25, 2009

Chunav

Khushi ko maine chuna hai
Jaise gham ko aapne…
Udhedh ke doobara buna hai
Apne jeevan ka taana baana
Jab chunne ka sach jaana
Haan hum chunav khud kartien hain
Pal pal ghut te hain
Martien hain
Ya phir nazaraiya badaltein hai
Dosh dena kitna aasan hai
Galti hamesha kisi aur ki hai
Kasoorvar kareebi koi
Ya phir bhagwaan hai
Bechargi mein rehna bhi ek nasha hai
Uski khumaari bahuton ki dawaa hai
Par maine chuna hai jaagne ko
Zindagi ko
Azaadi ko
Alvida keh diya bhaagne ko….

Zidd apne liye kuch karne ki hai

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Bachhon si baatien mat karo
Angrezon ki sarkaar giraoge?
Par yeh bachpana nahi tha
Desh ke har kone mein
Jawaani ke kagar pe khade lakhon ko
pata tha yeh bilkul sahi tha
kisi ko to pehl karni thi
darr se nijaat paane ki
ghulami ki aadat hataane ki
jab jawaan khoon mein aayi rawaani
bagaawat huyi har jagah
jail bhari quaid ke naam se darrnewalon ne
saath paaya biwion ka bhi angrez se ladnewalon ne
jo lagta tha bilkul namumkin
kar dikhaya inn sarfire deewanon ne ek din

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai



Azaadi ke sahi mane
Unhone the jaane
Bachchpan peeche, budhapa door
dil mein josh, chhalke chehre pe noor
vijaypath pe tiranga lehraya
fauji bane aur khud ko paya
poocha hairat bhari nazron ne, yeh baat kaise huyi?
kaise mehnat ki unhone ne
jinse sabne na rakhi thi ummed koi
har ek se paayi inhone dua
ek samundar sa har gali se guzra
jan gann man gaata huya

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Desh ke liye bani panch saalon ki yojana
Har kisi ko laga vo bhagedaar
Apne bank, apne dam, apne karkhanon mein apna kaam
Bharat ka jald hi roshan karna tha naam
Tez kadam
Ekjut awaaz
Sainkdon ka Dum
Unchi parwaaz
Dharti bani ab bharat ma
Kahin Iski raksha ke liye nikla hujoom sa
To kahin logon ne li kasam kha
Is mein anaj badhane ka
Sab ko mili ek nayi disha
Jeene ki ek thoss vajah


Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Waqt kam tha, kitne saare karne the kaam
Maano sabko mil gaya tha pehle hi inaam
Junoon tha jiska naam…
Dharti pe daudi nayi rail,
Hawa mein apni airline ka dikha khel
Chaka chaund mein nazrien gayi chaundhai
Aur kuch ki nazar phir kahin ladkhadi
Araam ne kiya haraam
Kala paisa, gorakh dhanda
naye desh pe ab laga kass raha tha phanda
padhte likhte kuch aur bhi seekh gaye the yahan log
aur ek baar phir mitaana zaroori tha yeh rog

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Tv ke saath saath maano zindagi hi ho gayi rangeen
18 saal mein mila vote karne ka mauka
Aasan ho gayi lag bhag har cheez
Plastic card ke bal bute pe le sakte the
Car, foreign mein chhuti ya phir nayi kameez!
Haan chai paani ka bhi naya matlab nikalta raha
Bahuton ka bank balance badhta raha
Ek naraazgi kahin thi dabi dabi
Jisko badlna tha kabhi na kabhi
Jawaan khoon phir sawaal karne laga
Daben pav phir vo siyasat mein ubharne jaga

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai


Aaj phir hai ek naya daur
Bachpan ke saath masoomiyat bhi kahin kho jaati hai
Har sadi ki tarha
Duniya badalne ki jaldi ho jaati hai
Ab ka yuvak abke sapne bunta hai
Daftar ko kandhe pe latkaye ghumta hai
Dharti ko bachaane ke liye geet gaata hai, jhoomta hai
Apne gusse ko apne dhang se dikhaata hai
Twitter pe tweet karke baat samjhaata hai
Candle light march karke sarkaar hilaata hai
Kabhi lagta hai ussi mein khush ho jaata hai
Lekin kal ka khayal hain unhe
Jinhone khaayi hai phir ek kasam
Apni baat manvaane ki
Jaagte rehne ki
Jagaane ki
Terrorisim se ladne ki
Politics mein utarne ki
Azaadi humein leni hai phir aaj
yahin kuch badalna hai
Banana hai ek super cool samaj

Zidd apne liye kuch karne ki hai
Sahi baat pe addne ki hai

Monday, August 24, 2009

Phir aur waqt chaahti hoon...

Hawaa mein teer chalati hoon,
Din raat darr paalti hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...
Khayalon mein hi haar jaati hoon,
Khwaabon mein neend talaashti hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...
Naye naye dost banaati hoon,
Bina baat kiye hi laut aati hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...
Mann mein hi kisi ki ho jaati hoon,
Khud ko thoda aap sa hi paati hoon,
Phir aur waqt chaahti hoon...

Sunday, August 16, 2009

Sach mano ab baat mere bas mein nahi

Dekha to kabhi nahi
Lekin yakeen mein kami nahi
kisi ne rabb ko dekha kahin?
Dimaag hansta hai jab dil kehta hai sahi
Khayaal hai jo baar baar kehta hai “main hoon vahi”
Chho loongi to gayab na ho jaaye kahin
Khwaab hai, par sone nahi deta vahi
Log kehte hai yeh kaam se gayi
Sach mano ab baat mere bas mein nahi…

Saturday, August 8, 2009

मिलना aakar

Waqt churakar
Neend hatakar
Soch sulakar
Milna aakar….
Kaam bhulakar
Darr gumakar
Dil jagaakar
Milna aakar….
Hosh gavakar
Haalat bhulakr
Mann ka kaha maankar
Milna aakar….
Betaabi bhagaakar
Mayoosi mitakar
Yakeen badhakar
Milna aakar….

Monday, August 3, 2009

Kaanch ka khwaab tha, toot gaya

Kaanch ka khwaab tha, toot gaya
Mere saamne haath se chhot gaya
Tukde chhubte hain ankhon mein
Baatien cheekhti hai kaanon mein
Bebaas hairat se takati rehti hoon
Kabhi khud se kabhi khuda se ladti rehti hoon

Saturday, August 1, 2009

आज का sach

Uski khushi mein hai meri jaan
Uski muskurahat par hai shay kurbaan
Aisa huya hai pehli baar
Uski jeet mein nahi dikhti apni haar
Uske hone se milta hai sukoon
Vo hai meri dua, mera junoon
Uski khushi mein hai meri jaan
Uski muskurahat par hai shay kurbaan
Jo vo chaahe usse mil jaayen
Har kadam pe naye josh paayen
Mumkin hai iss bheed mein kahi kho jaaye
Aur yakeen hai kal behtar hoga jab bhi aaye
Uski khushi mein hai meri jaan
Uski muskurahat par hai shay kurbaan

Tuesday, July 21, 2009

Khamoshi mein kitna bolte ho aap…

Aksar lagta hai yeh baatien zubaani kyun nahi kehte kabhi
Yakeen maano kahoge to sach maan loongi abhi
Phir sochti hoon ke kya aap ko itna lagta hai sahi
ya maine sunne mein kahin galti ki
Kya aapne vaake hi kaha tha yahi?
Ya mere dil ki khushfehmi thi kahin….

Saturday, June 13, 2009

Achcha chalo ab rehne bhi do

Achcha chalo ab rehne bhi do
Ho gayi na baat tum jaane do
Aur ek baar phir jhoot jeet jaata hai…
Kabhi ghar ki izzat ki khaatir
Kabhi akele reh jaane ke darr se
Achcha chalo ab rehne bhi do
Ho gayi na baat tum jaane do
Jaane diya isliye aaj apne aap se saamna nahi kar paate
Bemaani rishton ko nibhana bahut mushkil lagta hai
Lekin inn rishton ke siva kisi ke paas hai kya
Khud se to koi rishta kabhi bana hi nahi
Phir sukoon ki khoj mein kuch aur rishte bante hain
Kuch aur parde dale jaate hai
Wahi darr ek naye rishte mein jab aate hain
Koi kahin bhaagta nahi
Naye zakhmon ko purani potli ke saath hi chuppa dete hain
Aur dikhavon ka khel kayam rehta है....

Ek Chuppi

Agar pooch lete to kya ghat jaata aapka
Aapke mann mein hi tha ghada paap ka
Bin pooche sab jaanten ho jaise, pata ho har raaz ka
Ho sakta hai kabhi kisine jaan kar dukh na diya ho, kasoor tha halaat ka
Par aapne to pehle hi maan liya ke vo khotta tha jazbaat ka
Kisi ki koi majboori bhi to sakti hai par aapko khayal sirf aapka

Tuesday, May 26, 2009

Pata hi nahi

Kya hua tha aakhir mein
Kya bahut dardnaak the vo pal
Kya bahut tadpe the vo jaate jaate
Kya mere shauhar ne mujhe awaaz di thi uss waqt
Pata hi nahi
Aur mere mann mein aate hai sawaal vahi
Kya uss bachche ne jaana tha ki ma kitna pyar karti thi
Kya usne bees minute jeekar jaane se pehle chaaha tha zindagi ko
Kya usne suni thi vo saari baatien jab ma ke andar tha
Pata hi nahi
Aur mere mann mein aate hai sawaal vahi
Kya uss shaks ne bolne ki koshish ki thi
Kya uss khooni cheekhti bheed main kisi ne suna tha
Kya kisi ne gaur kiya ke mar kar bhi usne haath mein pakde mithai ke dabbe ko nahi choda
Pata hi nahi
Aur mere mann mein aate hai sawaal vahi

Friday, May 15, 2009

Mujhe nahi banna aap jaisi mahaan

Mujhe nahi banna aap jaisi mahaan
Nahi karne itne balidaan
Har roz bechargi ki soorat banakar ghumna mujhe gavara nahi
Kisi purane kaam ke badle maangna sahara nahi
Jab bhi koi khush ho mujhe nahi jalna
Apne tyag ka baar baar ailaan nahi karna
Agar maine kuch kiya to apni khushi ke liye kiya
Kisi saude mein naap tol ke kiya to kya kiya
Mujhe nahi banna aap jaisi mahaan
Nahi karne itne balidaan

Friday, May 8, 2009

Dard tumhara hai

Dard tumhara hai
Jaise neend tumhari hai
Bistar ka vo hissa tumhara hai
Chaawal mein ketchup dal ke khaani ki adat tumhari hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
Main tumhe dard mein dekhkar ro sakti ho
Jism ka dard ho to ilaaj kar sakti hoon
Dil ka dard ho to bebaas intezaar hi kar sakti hoon
Us lamhe ka jab tum jaano ke kisi ko vo takleef nahi ho sakti jo tumhe ho rahi hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
Jab ghar se koi chala jaata hai to gham sabhi ko hota hai
Par uss gham ke girft mein kahan tak rehna hai
Uske karan duniya to kab tak kosna hai
Yeh irada hamesha apne aap lena padhta hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
Dekha hai an aksar ek hi baat se alag logon par kitne alag asar hote hai
Koi ro rokar aankhien suja leta hai
Koi bol bolkar sab kuch theek karne ki apni koshish karta hai
Aur koi aapki tarha apni chhot ko gale lagakar chhup ho jaata hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
To isliye mere dost, mere pyar ya neeyat pe shaque mat karo
Yeh ummed bhi na rakho ke main, ya koi aur, aapki tadap baant sakega
Chahane par bhi yeh mumkin nahi
Issi liye to kitabien, filmen, dost ya gaane bhi mere tumhare alag hote hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai

Tuesday, May 5, 2009

Taaqat ki kamzori

Bahut arse baad chachaji se mili
Vo unche lambe roobabdaar chachaji
Jinke kadamon ki aahat sunte hi sab darr jaate the
Chachi bechari to ya roti rehti thi ya unki taraf se maafi mangti rehti
Poora ghar unke aane pe t ham sa jaata tha
Sharab ki boo aati thi jab vo raat ko laut te the
Aur sabhi bachche chaddar sarr per odhkar chhup ho jaate the
Kabhi dal mein namak to kabhi sari ka rang
Chachi ko maarne ka to bahana mil hi jaata tha
Jab main ma se poochti thi ke koi unhe rokta kyun nahi
To ma thandi saans lekar kehti thi, shukr hai tere papa aise nahi hai
Mujhe ghinn aati thi uss admi se
Shukr manaya jab Chandigarh jaana zaroori nahi raha
Ab 15 saal baad aayi thi to sabse milne ka mann tha
Aur chachaji ko yun bebas dekhkar ajeeb laga
Kyunki ab taqat unke haath mein nahi rahi
Koi unse darrne wala bachcha hi nahi
Chachiji chal basi
Bachche unhe chhodkar chale gaye
Aur jo koi bachcha tha
Ab unse darne ki umr paar kar chukka tha
Ab zulm dhaate kiss par?
Taqaat azmaate kahan?
Darr ki buniyaad pe rishte thodi na bante hain
Vo to taqat ke palde ka khel hota hai
Jo darta hai vo kamzoor
Jo darrata hai vo taqatvar
Aur baazi hamesha palat ti hai
Ab chachaji ka to khel khatam ho chuka tha
Aur unki lachari pe taras khana bhi mujhe gavara nahi…

Friday, May 1, 2009

kya tha vo?

Main kisi ko kaise samjhao
Aur kisi ko jaan ne ka haq bhi nahi hai…
Kyunki vo dosti sirf hum dono ke beech thi
Aur vo kitni khaas thi koi aur samajh bhi nahi paayega
Tha to vo mere dost ka dost
Hum ek baar mile the
Aur do minute baat ki thi
Hum alag sheharon mein rehte the
Phir main uss shehar mein rehne gayi jahan mera naya dost rehta tha
Nayi zindagi basa rahi thi ek naye shaks ke saath
Aur mere naye dost ne haath badhaya
Kabhi phone pe to kabhi chat pe
Chhoti choti batano mein madad ki
Naye shaher se dosti karvayee
Apne baaare mein, apne tajurbe se baatien samjhayi
Achcha lagne laga uss se salah lena
Vo mere bare mein kuch nahi jaanta tha
Aur na main
To ek doosre pe banti rai hamari apni thi
Kabhi milne ka mann hi nahi huya
Par dono waqt aur kaam ke bahane banaate rahe
Dheere dheere baatien karna zaroori hota raha
Baton baton mein bahut kuch keh diya
Aur bahut si seemaiyen baaniye
Jinhe laangna mana tha
Vo apni duniya mein khush tha
Main apni duniya banaane ki koshish kar rahi thi
Aur hum donon ka rishta ek alag hi duniya thi
Khamoshiyan sunai dene lagi
Kahin ek doosre ki baat ka maan rakhna zaroori ho gaya
Meri shaadi toot gayi
Maine vo shehar chhod diya
Par hum dono ki dosti kayam rahi
Aur jab usne naukri badli to maine cheezien samjhai
Jab main udaas thi usne har mumkin koshish ki hasaane ki
Kabhi vo baap banker daanta tha
Kabhi main bacchon si zidd karke baat manvaati thi
Humme ek doosre se ishq nahi tha
Kyunki hamari dosti zyaada gehri thi
Aur kisi naam ki mohtaaj nahi
Aur koi aur shaqs samajh hi nahi paata
Uski biwi, mera shauhar jaante the ke hum dost hai
Aur yeh bhi ke unke rishte ko koi darr nahi
Do saal ho gaye, dono ken aye kaam the
Waqt ki sachmuch kami thi
Baat roz hoti thi
Par vo lambi lambi wali gappien kam ho gayi
Waqt churane ka samay nahi milta tha
Par jab bhi koi badi baat hoti
Achchi ya buri to jaanne ka pehla haq hum dono ko hi tha
Phir main desh se bahar chali gayi
Naya kaam, naye dost
Bahut mazaa aa raha tha
Hamari dosti kayaam thi
Par baat kam hoti thi
Din raat hi alag jo ho gayien the
Par janamdin, kaam mein koi jeet, kisi gaane ke bhule huye bol
In mamlon mein ek doosre ko kisi bhi waqt jagaana allowed tha
Jab uska beta huya maine mubarakbaad phone pe Sunita ki bhi di
Jab meri doobara shaadi ki baat huyi shahid se pehle baat Atul ne hi ki
Ab itne saalon baad itni aur cheezon mein dhyan bant gaya
Ki kabhi kabhi bura lagta tha par dosti nibhane ka farz dono nahi kar pa rahe the
Jab birthday pe ya naye saal ka phone aaye to ghanton jaayeza liya jaata tha
Iss saal pucca milne ka vaada aur irada banaya jaata tha
Aur der tak main uski baatien yaad karke muskurati rehti
Iss saal shahid hospital mein tha
Aur maine dhyan hi nahi diya ke atul ka naye saal pe phone nahi aaya
Jab do mahinon baad mere janamdin pe bhi baat nahi huyi to
Maine phone kiya, to message mila ke phone uplabd nahi
Mail ka bhi koi jawaab nahi aaya
Aur ab main lautkar apne shehar aayi hoon
Aur hum dono ke dost se jaana hai
6 mahine huye atul ki car accident mein maut ho gayi…

Tuesday, April 28, 2009

Smell

Vo no khushbu hai na badbu, sirf ek smell hai
Jiss se judi hai kitni yaadien, kini baatien…
Jaise kal lift main aate hi
Aapki smell thi
Aap, jinko main saalon pehle bhool chuki thi
Aur achanak sab kuch aankhon ke saamne aa gaya
Aapke baat karne ka vo alag sa style
Kitna hansaate the, kitne roobab se baat karte the
Jaate jaate kitna rulaya bhi tha
Kitne arse tak aapki vo smell takiye se nahi gayi
Kisi perfume ke saath mili cigarette ki vo khushbu
Usmein aapki hansi bhi chupi hai
Aur vo serious baat ke beech aankh maarne ki ada bhi
Der raat tak vo smell mere saath hi rahi….

Friday, April 24, 2009

Tumhari yeh baat

Tumhari yeh baat mujhe bilkul achchi nahi lagti
Kyunki yeh mujh mein bhi kami hai
Aur tum ho ke baar baar yaad dilate rahte ho
Yeh jo logon ki baton mein aakar
Apna irada badal lete ho
Mat kiya karo
Maine logon ki baat maani
Aur aaj na vo log hai na apne aap se aankh milane ki himmat
Tumhari yeh baat mujhe bilkul achchi nahi lagti
Kyunki yeh mujh mein bhi kami hai
Aur tum ho ke baar baar yaad dilate rahte ho
Aur yeh jo kisi ka pyaar jeetne ke liye
Har baat pe haan keh dena, kamzori hai
Koi kadar nahi karta
Apni parchai se bhala koi pyar karega?
Vo kahan jaayegi bechari parchayi
Main bhi to hami bharti reh gayi
Aur na mein haan ki ada kisi aur ki unhe bha gayi
Tumhari yeh baat mujhe bilkul achchi nahi lagti
Kyunki yeh mujh mein bhi kami hai
Aur tum ho ke baar baar yaad dilate rahte ho
Kisi ki bhi baat pe yakeen kar lena
Usne kaha aur tumne maan liya
Vo kehkar bhool gaya
Aur tum ho ke abhi tak ummed lagaye baithi ho
Sach mano, kaash mujhe kisine bataya hota
Jo karta hai insaan vo sach hai
Jo kehta hai….khair, ab rehne bhi do

Tuesday, April 21, 2009

वोह जो बीच का वक्त

जब इरादा नेक है
ख़ुद पर यकीन भी है
खुदा के होने का ख्याल भी
तावीज़ धागों का साथ भी
पर हासिल कुछ नही हो प् रहा….
यह जो जालिम बीच का वक्त है
बहुत तंग करता है और कोई नही उससे कुछ कह पता
जब काम तो बहुत अच्छा किया है
पर किसी ने देखा ही नही
“हम इतिला कर देंगे
आप फ़िक्र न करिएँ”
तो काम किया न किया एक बराबर…है न?
यह जो जालिम बीच का वक्त है
बहुत तंग करता है और कोई नही उससे कुछ कह पता
जब चाहत तो दोनों तरफ़ से है
शायाद एक तरफ़ से थोडी ज़्यादा
पर कहानी यंही आकर थम गई है
अब आंखों आँखों में बात हुयी भी थी
या फिर सिर्फ़ ऐसे लगा था तुम्हे…
यह जो जालिम बीच का वक्त है
बहुत तंग करता है और कोई नही उससे कुछ कह पता
जब सब कहते है दावा असर करेगी
बस थोड़ा वक्त लगेगा
चलो हमने तो दुआ भी जोड़ दी साथ
पर बहुत धीरे गुज़र रहा है आज दिन
यह जो जालिम बीच का वक्त है
बहुत तंग करता है और कोई नही उससे कुछ कह पता

Tuesday, April 7, 2009

jald baazi

Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Sunna nahi, din bhar log kehte rehte hai
Aisa karo waqt bachega
Yahan se chalo kam samay lagega
Par sab kuch karne ke baad bhi
Kambakht waqt hai jo milta hi nahi
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Har koi itni jaldi mein hai
Ke na ek jaaga tikkar kisi khayal ko palne dete hai
Na kisi rishten ko saans lene ka waqt dete hai
Bahut tez raftaar mein daud rahe hain sab
Koi gir raha ho to chahane par bhi, uske liye kaise ruke?
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Bachchon ko bhi bas yunhi kuch na karna gavara nahi
Itna kuch karne ko jo hai
Koi aisa ho jise doobte suraj ko dekhte rehna achcha lagta hai
To uss se door hi rehne ki salah di jaati hai
Yaad dilaya jaata hai ke waqt zaaya kar raha hai
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Aur agar iteefaq se kisi ko waqt mil jaata hai
To ussse bechara koi shaks nahi
Ab uske paas waqt to hai
Par uss waqt ko kis tarha bhara jaayein
Uss soch se phursat kahan
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai

Tuesday, January 6, 2009

आज

आज सुबह बेचैनी ने बिस्तर को ऐसे घेअर रखा था
सोचा सबा कुछ माहौल बदल देगी
खिड़की खोली तो एक बड़ा कला बदल घूरने लगा
चुपके से सहम के बैठ गई
कम्बल लाना भूल गई थी
अब दुबारा बेचैनी वाले कमरे में जाने की हिम्मत कहाँ
आंसों से मिन्नतें करने लगी के आंखों तक मत आओ
और फिर याद आया मेरी बहिन का ३ साल का बेटा
जो रोने वाले मुंह बनता है तो हँसी आ जाती है
मेरा पागल दोस्त जो अपनी कही बात पे इतने ज़ोर ज़ोर से हस्त है
की उस वक्त उस पे बेंतेहा प्यार आता है
बेसन के हलवे के पकने की खुशबू आई
वोही वाला जो मेरी नानी बनती थी
कहीं दूर से अजान सुने दी
और मनन में अपने आप ही
बुल्ले शाह का कलाम गूंजने लगा
दिल्ली की चाँदनी चौक की गलियां याद आ गई
लाल कुइला किसने बनाया था?
गुरद्वारे से गुरबानी की आवाज़ थी
दरबार साब से…
बचपन याद आ गया
जब हम सब ट्रेन से जाते थे
और सिर्फ़ मुझे, पदों के पास
खेतों में, प्लात्फोर्म पे
सफ़ेद कुरते में वो शख्स दीखता था
पता नही कौन था पर बहुत अच्छा था
काफ़ी सालों तक जब भी मुझे डर लगता था
वो आ जाता था
और डर उससे डर जाता था
न जाने कहाँ से पापा की बातिएँ सुने देने लगी
मेरी शेरनी से पंगा मत लेना!
बहुत हसी आई
बहार देखा
एक हसीं सुबह मुझे सलाम कर रही थी….