Tuesday, April 7, 2009

jald baazi

Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Sunna nahi, din bhar log kehte rehte hai
Aisa karo waqt bachega
Yahan se chalo kam samay lagega
Par sab kuch karne ke baad bhi
Kambakht waqt hai jo milta hi nahi
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Har koi itni jaldi mein hai
Ke na ek jaaga tikkar kisi khayal ko palne dete hai
Na kisi rishten ko saans lene ka waqt dete hai
Bahut tez raftaar mein daud rahe hain sab
Koi gir raha ho to chahane par bhi, uske liye kaise ruke?
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Bachchon ko bhi bas yunhi kuch na karna gavara nahi
Itna kuch karne ko jo hai
Koi aisa ho jise doobte suraj ko dekhte rehna achcha lagta hai
To uss se door hi rehne ki salah di jaati hai
Yaad dilaya jaata hai ke waqt zaaya kar raha hai
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai
Aur agar iteefaq se kisi ko waqt mil jaata hai
To ussse bechara koi shaks nahi
Ab uske paas waqt to hai
Par uss waqt ko kis tarha bhara jaayein
Uss soch se phursat kahan
Aaj kal waqt kahan hai?
Mano kahin kho saa gaya hai, ruthh gaya hai

No comments: