Friday, April 24, 2009

Tumhari yeh baat

Tumhari yeh baat mujhe bilkul achchi nahi lagti
Kyunki yeh mujh mein bhi kami hai
Aur tum ho ke baar baar yaad dilate rahte ho
Yeh jo logon ki baton mein aakar
Apna irada badal lete ho
Mat kiya karo
Maine logon ki baat maani
Aur aaj na vo log hai na apne aap se aankh milane ki himmat
Tumhari yeh baat mujhe bilkul achchi nahi lagti
Kyunki yeh mujh mein bhi kami hai
Aur tum ho ke baar baar yaad dilate rahte ho
Aur yeh jo kisi ka pyaar jeetne ke liye
Har baat pe haan keh dena, kamzori hai
Koi kadar nahi karta
Apni parchai se bhala koi pyar karega?
Vo kahan jaayegi bechari parchayi
Main bhi to hami bharti reh gayi
Aur na mein haan ki ada kisi aur ki unhe bha gayi
Tumhari yeh baat mujhe bilkul achchi nahi lagti
Kyunki yeh mujh mein bhi kami hai
Aur tum ho ke baar baar yaad dilate rahte ho
Kisi ki bhi baat pe yakeen kar lena
Usne kaha aur tumne maan liya
Vo kehkar bhool gaya
Aur tum ho ke abhi tak ummed lagaye baithi ho
Sach mano, kaash mujhe kisine bataya hota
Jo karta hai insaan vo sach hai
Jo kehta hai….khair, ab rehne bhi do

No comments: