Tuesday, May 26, 2009

Pata hi nahi

Kya hua tha aakhir mein
Kya bahut dardnaak the vo pal
Kya bahut tadpe the vo jaate jaate
Kya mere shauhar ne mujhe awaaz di thi uss waqt
Pata hi nahi
Aur mere mann mein aate hai sawaal vahi
Kya uss bachche ne jaana tha ki ma kitna pyar karti thi
Kya usne bees minute jeekar jaane se pehle chaaha tha zindagi ko
Kya usne suni thi vo saari baatien jab ma ke andar tha
Pata hi nahi
Aur mere mann mein aate hai sawaal vahi
Kya uss shaks ne bolne ki koshish ki thi
Kya uss khooni cheekhti bheed main kisi ne suna tha
Kya kisi ne gaur kiya ke mar kar bhi usne haath mein pakde mithai ke dabbe ko nahi choda
Pata hi nahi
Aur mere mann mein aate hai sawaal vahi

Friday, May 15, 2009

Mujhe nahi banna aap jaisi mahaan

Mujhe nahi banna aap jaisi mahaan
Nahi karne itne balidaan
Har roz bechargi ki soorat banakar ghumna mujhe gavara nahi
Kisi purane kaam ke badle maangna sahara nahi
Jab bhi koi khush ho mujhe nahi jalna
Apne tyag ka baar baar ailaan nahi karna
Agar maine kuch kiya to apni khushi ke liye kiya
Kisi saude mein naap tol ke kiya to kya kiya
Mujhe nahi banna aap jaisi mahaan
Nahi karne itne balidaan

Friday, May 8, 2009

Dard tumhara hai

Dard tumhara hai
Jaise neend tumhari hai
Bistar ka vo hissa tumhara hai
Chaawal mein ketchup dal ke khaani ki adat tumhari hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
Main tumhe dard mein dekhkar ro sakti ho
Jism ka dard ho to ilaaj kar sakti hoon
Dil ka dard ho to bebaas intezaar hi kar sakti hoon
Us lamhe ka jab tum jaano ke kisi ko vo takleef nahi ho sakti jo tumhe ho rahi hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
Jab ghar se koi chala jaata hai to gham sabhi ko hota hai
Par uss gham ke girft mein kahan tak rehna hai
Uske karan duniya to kab tak kosna hai
Yeh irada hamesha apne aap lena padhta hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
Dekha hai an aksar ek hi baat se alag logon par kitne alag asar hote hai
Koi ro rokar aankhien suja leta hai
Koi bol bolkar sab kuch theek karne ki apni koshish karta hai
Aur koi aapki tarha apni chhot ko gale lagakar chhup ho jaata hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai
To isliye mere dost, mere pyar ya neeyat pe shaque mat karo
Yeh ummed bhi na rakho ke main, ya koi aur, aapki tadap baant sakega
Chahane par bhi yeh mumkin nahi
Issi liye to kitabien, filmen, dost ya gaane bhi mere tumhare alag hote hai
Issi tarha yeh dard bhi tumhara hai
Tumne isse bulaya hai, tum hi ne chuna hai

Tuesday, May 5, 2009

Taaqat ki kamzori

Bahut arse baad chachaji se mili
Vo unche lambe roobabdaar chachaji
Jinke kadamon ki aahat sunte hi sab darr jaate the
Chachi bechari to ya roti rehti thi ya unki taraf se maafi mangti rehti
Poora ghar unke aane pe t ham sa jaata tha
Sharab ki boo aati thi jab vo raat ko laut te the
Aur sabhi bachche chaddar sarr per odhkar chhup ho jaate the
Kabhi dal mein namak to kabhi sari ka rang
Chachi ko maarne ka to bahana mil hi jaata tha
Jab main ma se poochti thi ke koi unhe rokta kyun nahi
To ma thandi saans lekar kehti thi, shukr hai tere papa aise nahi hai
Mujhe ghinn aati thi uss admi se
Shukr manaya jab Chandigarh jaana zaroori nahi raha
Ab 15 saal baad aayi thi to sabse milne ka mann tha
Aur chachaji ko yun bebas dekhkar ajeeb laga
Kyunki ab taqat unke haath mein nahi rahi
Koi unse darrne wala bachcha hi nahi
Chachiji chal basi
Bachche unhe chhodkar chale gaye
Aur jo koi bachcha tha
Ab unse darne ki umr paar kar chukka tha
Ab zulm dhaate kiss par?
Taqaat azmaate kahan?
Darr ki buniyaad pe rishte thodi na bante hain
Vo to taqat ke palde ka khel hota hai
Jo darta hai vo kamzoor
Jo darrata hai vo taqatvar
Aur baazi hamesha palat ti hai
Ab chachaji ka to khel khatam ho chuka tha
Aur unki lachari pe taras khana bhi mujhe gavara nahi…

Friday, May 1, 2009

kya tha vo?

Main kisi ko kaise samjhao
Aur kisi ko jaan ne ka haq bhi nahi hai…
Kyunki vo dosti sirf hum dono ke beech thi
Aur vo kitni khaas thi koi aur samajh bhi nahi paayega
Tha to vo mere dost ka dost
Hum ek baar mile the
Aur do minute baat ki thi
Hum alag sheharon mein rehte the
Phir main uss shehar mein rehne gayi jahan mera naya dost rehta tha
Nayi zindagi basa rahi thi ek naye shaks ke saath
Aur mere naye dost ne haath badhaya
Kabhi phone pe to kabhi chat pe
Chhoti choti batano mein madad ki
Naye shaher se dosti karvayee
Apne baaare mein, apne tajurbe se baatien samjhayi
Achcha lagne laga uss se salah lena
Vo mere bare mein kuch nahi jaanta tha
Aur na main
To ek doosre pe banti rai hamari apni thi
Kabhi milne ka mann hi nahi huya
Par dono waqt aur kaam ke bahane banaate rahe
Dheere dheere baatien karna zaroori hota raha
Baton baton mein bahut kuch keh diya
Aur bahut si seemaiyen baaniye
Jinhe laangna mana tha
Vo apni duniya mein khush tha
Main apni duniya banaane ki koshish kar rahi thi
Aur hum donon ka rishta ek alag hi duniya thi
Khamoshiyan sunai dene lagi
Kahin ek doosre ki baat ka maan rakhna zaroori ho gaya
Meri shaadi toot gayi
Maine vo shehar chhod diya
Par hum dono ki dosti kayam rahi
Aur jab usne naukri badli to maine cheezien samjhai
Jab main udaas thi usne har mumkin koshish ki hasaane ki
Kabhi vo baap banker daanta tha
Kabhi main bacchon si zidd karke baat manvaati thi
Humme ek doosre se ishq nahi tha
Kyunki hamari dosti zyaada gehri thi
Aur kisi naam ki mohtaaj nahi
Aur koi aur shaqs samajh hi nahi paata
Uski biwi, mera shauhar jaante the ke hum dost hai
Aur yeh bhi ke unke rishte ko koi darr nahi
Do saal ho gaye, dono ken aye kaam the
Waqt ki sachmuch kami thi
Baat roz hoti thi
Par vo lambi lambi wali gappien kam ho gayi
Waqt churane ka samay nahi milta tha
Par jab bhi koi badi baat hoti
Achchi ya buri to jaanne ka pehla haq hum dono ko hi tha
Phir main desh se bahar chali gayi
Naya kaam, naye dost
Bahut mazaa aa raha tha
Hamari dosti kayaam thi
Par baat kam hoti thi
Din raat hi alag jo ho gayien the
Par janamdin, kaam mein koi jeet, kisi gaane ke bhule huye bol
In mamlon mein ek doosre ko kisi bhi waqt jagaana allowed tha
Jab uska beta huya maine mubarakbaad phone pe Sunita ki bhi di
Jab meri doobara shaadi ki baat huyi shahid se pehle baat Atul ne hi ki
Ab itne saalon baad itni aur cheezon mein dhyan bant gaya
Ki kabhi kabhi bura lagta tha par dosti nibhane ka farz dono nahi kar pa rahe the
Jab birthday pe ya naye saal ka phone aaye to ghanton jaayeza liya jaata tha
Iss saal pucca milne ka vaada aur irada banaya jaata tha
Aur der tak main uski baatien yaad karke muskurati rehti
Iss saal shahid hospital mein tha
Aur maine dhyan hi nahi diya ke atul ka naye saal pe phone nahi aaya
Jab do mahinon baad mere janamdin pe bhi baat nahi huyi to
Maine phone kiya, to message mila ke phone uplabd nahi
Mail ka bhi koi jawaab nahi aaya
Aur ab main lautkar apne shehar aayi hoon
Aur hum dono ke dost se jaana hai
6 mahine huye atul ki car accident mein maut ho gayi…