Friday, May 1, 2009

kya tha vo?

Main kisi ko kaise samjhao
Aur kisi ko jaan ne ka haq bhi nahi hai…
Kyunki vo dosti sirf hum dono ke beech thi
Aur vo kitni khaas thi koi aur samajh bhi nahi paayega
Tha to vo mere dost ka dost
Hum ek baar mile the
Aur do minute baat ki thi
Hum alag sheharon mein rehte the
Phir main uss shehar mein rehne gayi jahan mera naya dost rehta tha
Nayi zindagi basa rahi thi ek naye shaks ke saath
Aur mere naye dost ne haath badhaya
Kabhi phone pe to kabhi chat pe
Chhoti choti batano mein madad ki
Naye shaher se dosti karvayee
Apne baaare mein, apne tajurbe se baatien samjhayi
Achcha lagne laga uss se salah lena
Vo mere bare mein kuch nahi jaanta tha
Aur na main
To ek doosre pe banti rai hamari apni thi
Kabhi milne ka mann hi nahi huya
Par dono waqt aur kaam ke bahane banaate rahe
Dheere dheere baatien karna zaroori hota raha
Baton baton mein bahut kuch keh diya
Aur bahut si seemaiyen baaniye
Jinhe laangna mana tha
Vo apni duniya mein khush tha
Main apni duniya banaane ki koshish kar rahi thi
Aur hum donon ka rishta ek alag hi duniya thi
Khamoshiyan sunai dene lagi
Kahin ek doosre ki baat ka maan rakhna zaroori ho gaya
Meri shaadi toot gayi
Maine vo shehar chhod diya
Par hum dono ki dosti kayam rahi
Aur jab usne naukri badli to maine cheezien samjhai
Jab main udaas thi usne har mumkin koshish ki hasaane ki
Kabhi vo baap banker daanta tha
Kabhi main bacchon si zidd karke baat manvaati thi
Humme ek doosre se ishq nahi tha
Kyunki hamari dosti zyaada gehri thi
Aur kisi naam ki mohtaaj nahi
Aur koi aur shaqs samajh hi nahi paata
Uski biwi, mera shauhar jaante the ke hum dost hai
Aur yeh bhi ke unke rishte ko koi darr nahi
Do saal ho gaye, dono ken aye kaam the
Waqt ki sachmuch kami thi
Baat roz hoti thi
Par vo lambi lambi wali gappien kam ho gayi
Waqt churane ka samay nahi milta tha
Par jab bhi koi badi baat hoti
Achchi ya buri to jaanne ka pehla haq hum dono ko hi tha
Phir main desh se bahar chali gayi
Naya kaam, naye dost
Bahut mazaa aa raha tha
Hamari dosti kayaam thi
Par baat kam hoti thi
Din raat hi alag jo ho gayien the
Par janamdin, kaam mein koi jeet, kisi gaane ke bhule huye bol
In mamlon mein ek doosre ko kisi bhi waqt jagaana allowed tha
Jab uska beta huya maine mubarakbaad phone pe Sunita ki bhi di
Jab meri doobara shaadi ki baat huyi shahid se pehle baat Atul ne hi ki
Ab itne saalon baad itni aur cheezon mein dhyan bant gaya
Ki kabhi kabhi bura lagta tha par dosti nibhane ka farz dono nahi kar pa rahe the
Jab birthday pe ya naye saal ka phone aaye to ghanton jaayeza liya jaata tha
Iss saal pucca milne ka vaada aur irada banaya jaata tha
Aur der tak main uski baatien yaad karke muskurati rehti
Iss saal shahid hospital mein tha
Aur maine dhyan hi nahi diya ke atul ka naye saal pe phone nahi aaya
Jab do mahinon baad mere janamdin pe bhi baat nahi huyi to
Maine phone kiya, to message mila ke phone uplabd nahi
Mail ka bhi koi jawaab nahi aaya
Aur ab main lautkar apne shehar aayi hoon
Aur hum dono ke dost se jaana hai
6 mahine huye atul ki car accident mein maut ho gayi…

No comments: