Sunday, January 24, 2010

आज shaam

ek arse baad maine ek shaam apne saath bitayi
Thodi ajeeb, thodi dilchasp
Baton baton mein se na jaane kahan se yeh baat aayi

Jaise kisi ajnabi se maine preet lagai
Nayi baatien huyi
purane ghav bhare
Jab suna rahi thi to apni hi kahani lagi parayi

Usne shikayat ki aur main sharmayi
Sach hai iss shaks ke liye waqt hi nahi milta
Bhag daud mein sabse pehle yeh peeche reh jaata hai
Itne saalon ki jaane kaise kar paaongi main bharpayi


Usne bataya kahan kami hai, pyar se har baat samjhayi
Apne liye waqt nikalo
Tabhi auron ke layak banogi
Dheere dheere baat ki gehrayi dekh paayi


Sikhane mein jaldbaazi na hone ki baat sikhayi
Kitna sametogi?
Kya karogi itne shauk palke?
Saath na denge yeh akhbar, chhod jaayega voh sanam harjai


Apne andaz mein usne mujhse meri khamiyan ginvayi
Maine tark pesh kiye
Jo khud hi sunne mein khokle lage
Purse ki tarha usne mujhse mann ki safai karvayi

Apne bahanon ki jab usne mujhe boli sunvayi
Hairani huyi
Gin ginkar maine ateet ke bhoot bhagaye
Apne saamne, anpni madad se yeh guthi suljhai


ek arse baad maine ek shaam apne saath bitayi
Thodi ajeeb, thodi dilchasp
Baton baton mein se na jaane kahan se yeh baat aayi

No comments: