Wednesday, December 9, 2015

Galli ke nukkad pe

Galli ke nukkad pe choti si thi pehle Mere phoolon ki dukaan Aaj uparwaale ke karam se florist ban gaye hai College jo ban gaya hai kone pe Roz roz rose day to nahi hota Par jawaani mein phool zaroori hote hai Sab pata hai mujhe Lal se pyar ka izhaar Peele se shuruaat Par mujhe fikr hai unki Jo peechewali 15 manzila building mein rehte hai Permanent customer hain na College ke bachchon ki tarha badalne waale nahi 8 saal ho gaaye hai yaar lal maruti wala jo daily ek rose lekar jaata tha ab gaadi badi ho gayi hai aur mehbooba biwi to humare paas aana bandh ho gaya chalo khush rahe birthday, anniversary pe to hume hi yaad karte hai aur vo 5 maalevali madam roz hero ke ghar pe bouquet behjti thi ek saal tak chalta raha hai mamla finally humne hi bol diya madam rehne do na ab sirf birthday pe jaata hai hazaar waala bouquet yeh film bhi na… aur vo 11 maale ka chikoo vo hi to bataya father day, mother day mummy ko orchid pasand hai rafiq bhai kahin se bhi lao mother’s day pe orchids hi dene hai lekar aaye bhai mummmyji khud dukaan pe aayi thank you bolne, English mein isliye humko bhi sad laga jab chikoo ki mummy ka maloom chala sab funeral ke phool arrangements yahin se to huye ek orchids ka bouquet lekar aaya aur main hi dekar aaya itne saal mein na customer bhi insaan hi lagne lagte hai….

No comments: