Friday, June 20, 2008

Galli ke nukkad pe

Galli ke nukkad pe choti si thi pehle
Mere phoolon ki dukaan
Aaj uparwaale ke karam se florist ban gaye hai
College jo ban gaya hai kone pe
Roz roz rose day to nahi hota
Par jawaani mein phool zaroori hote hai
Sab pata hai mujhe
Lal se pyar ka izhaar
Peele se shuruaat
Par mujhe fikr hai unki
Jo peechewali 15 manzila building mein rehte hai
Permanent customer hain na
College ke bachchon ki tarha badalne waale nahi
8 saal ho gaaye hai yaar
lal maruti wala jo daily ek rose lekar jaata tha
ab gaadi badi ho gayi hai
aur mehbooba biwi
to humare paas aana bandh ho gaya
chalo khush rahe
birthday, anniversary pe to hume hi yaad karte hai
aur vo 5 maalevali madam
roz hero ke ghar pe bouquet behjti thi
ek saal tak chalta raha hai mamla
finally humne hi bol diya
madam rehne do na
ab sirf birthday pe jaata hai
hazaar waala bouquet
yeh film bhi na…
aur vo 11 maale ka chikoo
vo hi to bataya father day, mother day
mummy ko orchid pasand hai
rafiq bhai kahin se bhi lao
mother’s day pe orchids hi dene hai
lekar aaye bhai
mummmyji khud dukaan pe aayi
thank you bolne, English mein
isliye humko bhi sad laga
jab chikoo ki mummy ka maloom chala
sab funeral ke phool arrangements yahin se to huye
ek orchids ka bouquet lekar aaya aur main hi dekar aaya
itne saal mein na
customer bhi insaan hi lagne lagte hai….

1 comment:

Pratz said...

subhan allah lady gulzar