Monday, July 21, 2008

Ab

Jab koi rishta toot jaata hai
Jab koi kabhi na lautne ke liye chala jaata hai
To ahem aage aa jaata hai
Apne aap ko sambhalna mujhe aata hai
Doston ke saath rona
Aadhi raat ko usse kosna
Sab ho jaata hai
Kaam mein mazaa aane lagta hai
Apni peeth thap thapaane mein sukoon milta hai
Aur phir lagta hai sab theek hai
Par aisa hota nahi
Achanak itne dinon baad uski di huyi koi cheez haath lag jati hai
Raaste mein vohi chai ki dukaan aa jaati hai jahan hum donon barish mein chai peene jaate the
Tv par itne mahinon baad vo ad dubara aati hai jiski vo nakal utarta tha
Kissi se pehli baar mulaqaat hoti hai aur uska bhi vohi daant toota huya nikalta hai
Computer on karoon to uski kheenchi huyi tasveerein nazar aati hai
Radio par “hamara” gaana aa raha hai
Khatti dal uski favourite thi to ab maine banani chhod di hai
Mera mukaish wala dupatta usse bahut pasand tha to ab chupa diya
Rona bhi nahi aata ab
Par sach hi kaha tha kisine
Sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala….

1 comment:

JIten Gajaria said...

"Sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala…."

wah... boley to hila dila