Monday, July 14, 2008

Zara

Mera naam zara hai. Kuch log mujhe zara sheikh bulate hai, kuch zara shrivastav ke naam se jaante hai.
Ab mujhe bistar par karvat badalte huye 15 minut ho chuke hai. Uthkar bahar jaane ka bilkul mann nahi. Saath soye mere pati sunil ko kuch nahi pata. Usse batana chaahti hoon par kya kahoon aur kaise?
Dus mahine pehle jab humne shaadi karne ki sochi thi tab hum dono jaante the ke hamare mazhab alag hai, hum mazhabi ho ya na ho, alag to hai
Mere ammi abbu hai aur sunil ke ma babuji. Par issse kya farak padhta hai? Hai progressive insaan hai, dono iss zameen par 30 saal se zyaada tey kar chuke hai, main ad agency mein hoon, sunil MNC mein. Humme in sab cheezon se kuch vaasta nahi
Laga tha court marriage aur reception ke dauran kuch dikkat ho gi, par aisa kuch nahi huya. Shayaad ishq ka jazbaa itna chhaya huya tha ke aur kuch dikhna hi nahi tha. Ab bhi kuch badla nahi hai, mujhe kabhi kabhi sindoor lagana achcha lagta hai aur sunil ko eid ke eid kurta pyjama pehnna gavara hai
Ab pichle ek hafte se ma babuji hamare paas aaye huye hai. Do hafte ki chuttiyan hai isliye. Hamari shaadi ke baad pehli baar.
Mujh se zyaada tension sunil ko thi. Paar main to khush thi…hoon. Saath rehne se to hi jaan sakte hain ek doosre ko. Aur maine decide kar liya tha ke agar ma ne kuch keh diya to bhi koi baat nahi, iss umr mein vo kahan badlengi aur phir do hafton ki ho to baat hai
Lekin ab bura lag raha hai, chhoti chhoti baton pe. Aur gussa apne aap pe aa raha tha. Kya samajh ke maine ammi ko kaha tha ke unhe dinner pe bula lo. Kaise vo mussalman ke ghar kha sakte? Chahe khana shudh shakahari kyun na ho. End mein vegetarian restaurant gaaye aur bahut hi painful shaam thi.
Jab babuji ne poocha beta sunil ghar mein bhagwanji nahi hai, to ma ne mujhe kyun ghur ke dekha? Jab raat coffee peete huye unhone ne poocha bachche kiss mazhab ke honge to sunil ne bina meri taraf dekhe bhi keh diya: yeh kaisa sawaal hai, hindu honge obviously. Jab sab ke minnat karne pe babuji ne chhaunk wale aloo bannane ke liye hami bhari, sabziyon ke saath vo bazaar se nayi kadai bhi lekar kyun aaye. Kya vo nahi jaante ke humare barton mein, mujh se zyaada, unka beta hi non veg banata hai? Agar mujhe kisine bataya nahi to main har subah suryanamaskar kaise karti?
Par in sab baton se zyaada mujhe koft iss baat se hai ke main kissi aur ke kehne par apna self confidence kyun kho rahi hoon…

No comments: