Tuesday, May 20, 2008

Kyun karoon khwaish

Har baar to dukhta hai
Har baar dard utni hi hota hai
Apne aap pe gussa aata hai
Apne hi andar kissi se maafi mangte hain
Kyun hota hai aise
Kya auron ke saath bhi hota
Kya un bade bade policy makers ko bhi dard hota hai
Kya amir confident film stars ko bhi aisi baat khalti hai
Kya aapne kabhi anhkhein zor se bandh ki hai taaki aanson andar laut jaayien
Kya kabhi socha hai ke uss shaks ko kya kahoon jo usse bhi itni hi chhube
Kya kahin kissi ko pata hota hai ke iss baar bhi baat nahi banegi
Kya har baar aise hi sikhana zaroori hai
Kya vaake hi ummed pe duniya kaayam hai

No comments: